Social Icons

Tuesday, June 28, 2016

Kisi se dil ki hikayat kabhi kaha nahin ki | Ahmad Faraz

" POETRY "

Kisi se dil ki hikayat kabhi kaha nahin ki... Ahmad Faraz

Kisi se dil ki hikayat kabhi kaha nahin ki
Wegrna zindagi ham ne bhi kya se kya nahin ki.

Har ik se kon mohabat nibah sakta ha
So ham ne dosti yari to ki,wafa nahin ki.

Shikastgi main bhi pindar-e dil salamat ha
K us k ddr pe to pohnchy magr sada nahin ki.

Shikayat is ki nahin ha k us ne zulm kiya
Gilaa to ye ha k zalim ne intaha nahin ki.

Wo na'dihanda ager tha to phir taqaza kya
K dil to le gaya qeemat magr adaa nahin ki.

Ajeeb aag ha chaahat ki aag bhi k FARAZ
Kahin jala nahin ki aur kahin bujha nahin ki.

Kisi se dil ki hikayat kabhi kaha nahin ki | Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment