" POETRY "
Main tu maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla...!
Qura e faal meray naam ka aksar nikla...!
Tha jinhein zom wo daria bhi mujhi mein dobay...!
Main sahira nazar ata tha sumandar nikla...!
Tu osi din haar gia tha meray buzdil dushman...!
Main tanha k muqabil jab tera lashkar nikla...!
Shahir waloon ki muhabat k qail hon magar...!
Main ny jis haath ko bhi choma wohe khanjar nikla...!
tu yahein haar gaya hai mere buzdil dushman...!
mujh se tanha ke muqaabil tera lashkar nikla...!
mein ke sehra e mohabbat ka musafir tha FARAZ...!
aik jhoonka tha ke khushbu ke safar par nikla...!
No comments:
Post a Comment