Social Icons

Thursday, July 14, 2016

Kabhi Jo Chir Gai Yad-E-Raftagan Mohsin - Mohsin Naqvi

"GHAZAL"

Kabhi Jo Chir Gai Yad-E-Raftagan Mohsin,

Bikhar Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin,

Hawa Ne Raakh Urai To Dil Ko Yad Aaya,

K Jal Bujhein Mere Khawabon Ki Bastian Mohsin,

Kuch Aise Ghar Bhi Mile Jin Mein Goonghaton K Iwaz,

Hoi Hain Dafan Do Patton Mein Larkia Mohsin,

Khandar Hai Ahd Guzashta Na Choo Na Cheir Usay,

Khulein To Band Na Hon Is Ki Khirkian Mohsin,

Bhujha Hai Kon Satara K Apni Aankh K Sath,

Howay Hain Sare Manazar Dhowan Dhowan Mohsin,

Nahi K Us Ne Ganway Hain Maah-O-Saal Apne,

Tamam Umar Kati Youn Bhi Raigaan Mohsin,

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gia Mujh Ko,

Sametna Thein Jise Meri Kirchian Mohsin,

Kahein Se Us Ne Bhi Tora Hai Khud Se Rabt-E-Wafa,

Kahein Se Bhool Gia Main Bhi Dastaan Mohsin.............!

Kabhi Jo Chir Gai Yad-E-Raftagan Mohsin - Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment