"GHAZAL"
Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanwaar lun !
Mera lafz lafz ho aina tujhe aine main utar lun !
Main tamaam din ka thaka hua Tu tamaam shab ka jaga hua !
Zara thehr ja isi morh par tere saath shaam guzaar lun !
Agar aasman ki numaishon main mujhe bhi izne qyam ho !
To main motiyon ki dukan se teri baliyan tere haar lun !
Kahin aur bant de shehrtein kahin aur bakhsh de izztein !
Mere paas hai mara aina main kabhi na gard-o-ghubaar lun !
Kai ajnabi teri raah main mere paas se yun guzar gaye !
Jinhe dekh ker ye tarhep hui tera naam Ie ke pukaar lun !
No comments:
Post a Comment